Chullu Me Pani Bhar_kr Jo Phe'nka Furat Par Dekha tha Aisa Na Kabhi Manzar Furat Par
Nazro'n Me Phir Gya tha Sakina (sa) ka Jo Chehra Aa'nkho'n Me Bhar Gya tha Samandar Furat Par
Maujo'n Ne Choome Jhoom ke Ghazi ke Jo Qadam Ghabra Gya Ye Dekh Ke Lashkar Furat Par
Hamla tha Aisa Jaise ke khaibar ka Ho Manzar Dunya ye Samjhi aa Gye Haidar (as) Furat Par
Bazu kate the Phir Bhi Na thi Josh Me Kami Sahma Hua tha Sham ka Lashkar Furat Par.
Shayra : Narjis Fatima Abidi (Lucknow)
No comments:
Post a Comment