Thursday, August 27, 2020

Ammu Ko Sada Di Ke, Chacha Jaan Khabar Lo . (Marsiya Janabe Qasim (as) 7th Muharram


 

Ammu Ko Sada Di Ke, Chacha Jaan Khabar Lo,
Hota Hai Gulam Aap Pa Qurban Khabar Lo,
Dunia Me Koi Dam Ka Hun Mehman Khabar Lo,
Takleef Na Deta Magar Is Aan Khabar Lo,
Ke Zurriyat E Haidar Ki Yeh Tawkeer Hui Hai,
Ke Pamal Humein Karne Ki Tadbeer Hui Hai.

Ada Ko Bhaga Kar Jo Lage Dhoond Ne Sarwar 
Pamal Mile Qasim E Nawshaha Sarasar (A.s.)
Godi Ka Pala Pa Ragad Ta Tha Zameen Par
Rokar Pisare Fatema (S.a.) Ne Peet Liya Sar
Dekha Jo Hasan Ko Tane Sad Pash Se Lipte
Chilla Ke Husain (A.s.) Ibne Ali (A.s.) Lash Se Lipte

Yeh Keh Te The Jo Maut Ki Hich Ki Si Aaie
Moh Khol Ke Hazrat Ko Zaban Khushk Dikhaie
Makhdoom E Alam (S.a.) Ki Yeh Aawaz Sunaie
Mai Sah Re Kausar Hun Tere Waste Laaie
Pee Le Ise Aai Laal Ke Tar Khushk Gala Ho
Dadi Tere Sukhe Hue Hoton Pe Fida Ho


Lab Ban Kiye Qasim (A.s.) E Naushah Ne Ek Bar
Pani Na Piyunga Ke Hai Pyase Shahe Abrar
Dunia Se Safar Kargaya Woh Aainaye Rukhsar
Lash Iske Chale Leke Shah Bekaso Beyar
Dehodi Pe Jo Pohuche Jo Kaha Dekh Ke Sub Ko
Aare Woh Aaie Hai Dulha Tha Banaya Jinhe Shab Ko


Hay Hay Bal Qasim Ka Hua Shor Jo Dar Par
Bano Ne Kaha Lut Gai Logo Meri Dukhtar
Farzand Ke Lashe Lipat Ne Lagi Madar
Sar Peet Ti Daudi Shahe Mazloom Ki Khwar (S.a.) 
Phir Kaun Rahe Binte Ali (A.s.) Jub Nikal Aaie
Khaime Me Dulhan Reh Gai Aur Sub Nikal Aaie


Dehodi Se Jo Khaime Main Sheh Behro Bar Aaye Aaye
Rote Hue Aur Sharm Se Gardan Ko Jhukaie
Agosh Me The Lashaie Nawshah Uthaie
Akbar (A.s.) Bhi The Humrah Padar Ashk Bahaie
Khamosh Anees Ab Nahi Takat Hai Baya Ki
Halat Kahun Kis Muh Se Shahe Kaun Ko Maka Ki.


By: Ashfaq Marchant

No comments:

Post a Comment