Thursday, August 27, 2020

Islaam Par Hazrat Ali (a.s) Ke Ehsanaat.( Article By : Shabana Naqvi)

 


Islaam par Hazrat Ali Ameerul Momneen a.s ke Ahsanaat ki fehrist itni mukhtsar nhi Hai Hai ki hum use muhktsar majmua _e_halaat me likh sake ..

1== #dawte zul--- asheera ke mouqe par jis jagah rasoole Akram s.a.w.w ko taqreer karne ka mouqa mil RHA Tha .. aap ne aysi juraat wa himmat ka muzahera Kiya ki paigmbre Islam s.a.w.w kaamyaab ho gye aur app ne Islam ka danka bajaya

2==#Shabe Hijrat farshe Rasool s.a.w.w par so Kar Islam ki qismat bedaar Kar di aur jaan jokhim me daal Kar gaar me teen Roz khana pahuchaya

3==#Jange badr me jab ki muslmaan sirf 313 aur kuffaar beshumar thy .. app ne kamale juraat wa himmat see kamyaabi haasil ki
4==#jange ohad me jabki muslmaan sarwre aalam s.a.w.w ko maidaane jang me 6od Kar bhaag Gaye thy is waqt aap hi ne rasoole Akram s.aw.w ki jaan bachayi aur Islam ki ezzat mahfooz Kar li thi

5==#Kuffar Jin ke dilo me inteqaam ki aag bhadk rhi thi Amar ibne abdewud jaise bahadur ko lekar maidaan me aa pahuche aur Islam ko challenge Kar diya .. paigmbre Islam s.a.w.w preshan thy aur muslmaano ko baar baar ubhaar rhe thy ki muqaable ke liye nikle moulaye kaynaat hazrat Ali ibne abi taalib as ke siwa kisi ne bhi himmat n ki ...bill aakhir rasoollaah s.a.w.w ko khna pada ki aaj Ali a.s ki ek zarbat ibadate saqlain see behtar Hai...

6==#Isi tarh khaibar me kaamyaabi haasil karke aap ne islaam par ehsaan farmaaya

7==# mere khayal ke mutabiq hazrat Ali a.s ka islaam par sabse bada ehsaan yeh Tha ki wafaate Rasool s.a.w.w ke baad ruh farsa waaqiyaat was jaan lewa halaat ke ba wajud app nee talwaar nhi uthayi warna Islam manzile awwal par hi khatm ho jata

Allah humma sale ala mohammad wa aale mohammad wa ajjil farajahum.


Article By: Shabana Naqvi

No comments:

Post a Comment