Tuesday, September 8, 2020

HABABA NAAM KI EK KHATOON KA IMAM SAJJAD AS SE MOJIZA-E-IMAMAT LENA.


Hababa Jinhone Imam Ali (a.s) Se Imam Reza (a.s) Tk Aath (08) imamo Ki Ziyarat Ka Sharaf Hasil Kiya Aur Zamana Paya,


Maula Ali (a.s) Ne Hababa Ko Ek Chota Sa Paththar Diya tha Jo Aqeeq Se Kuch Bdha tha, Us Pathar Pr Maula Ali (a.s) Ne Apni Angoothi Ka Naksh Uspr Laga Kr Kaha Ke Jo Bhi Mere Baad imam Ayega Usse Mojiza e Imamat Lena,


Jo Bar'Haq Imam Hoga Uska Mojiza Yeh Hoga ki Mera Jo Print is Pr Aa Gya Hai Har Imam Apni Angoothi Ka Print Laga Sakega Aur Jo Imam Hone Ka Jhoota Dawa Krega Tu Woh Chahe Jinti koshish Kr Lega Par Mere Print Pr Print Nhi Laga Sakega,


Kuch Waqt Baad Kuch Aisa Hua Ki Unke Hi Khandan Walo'n Ne Hi imamat Ka Dawa Krna Shuru Kr Diya,
Hababa Ne Yeh Sb Dekha Tu Imam Zainul Abideen (a.s) Ki Khidmat Mei'n Pahuchi ,
Dekha Mera Maula Zainul Abideen (a.s) Namaz Mein Mashgool Hai,
Hababa Ne intezaar Kiya Ke Namaz Khatm Ho Jaye Tu arz Kre,


Imam Zainul Abideen (a.s) Ki Ek Namaz Khatm Hoti Dusri Shuru Ho Jati,
Hababa Ne Yeh Dekha Tu Jaise Hi Imam Ne Namaz Padhne Ke Liye Allah o Akbar kaha Hababa Ne Fauran Arz Ki Maula Mai'n Bahut Thak Gayi'n Hoo'n, Aur Isliye thak Gyi Ho Ki Mai'n Bhaut Bhudi (Old) Ho Chuki Hoo'n, itna Sunna Imam (a.s) Ne Farmaya

"Kya Kaha Bhudhi (old) Ho Gyi Ho ?

Kahan Bhudhi Hui Ho, ?

Imam Sajjad (a.s) Ka itna Khna tha Ki Hababa Ne Khud Ko Dekha Tu Waisa Paya Jaise Woh Apni Jawani Mei'n thi,

"Marhaba Maula" ,

Hababa Ne Kaha Mai'n Jb Bhi Apke Jadd Ke Paas Mojiza E Imamat Lene Jati thi Tu Hajat Talab Nhi Krti thi,
Aapne Tu Bina Hajat Talab kiye Meri Hajat Puri kr Di,

Hababa Ne Kaha Meri Ek Hajat Hai imam "Mujhe Chehre Pr Safedi Ki Ek Bimari Lg Gyi Hai, Jise Log Kahte Hai ki Yeh Azab Hai Aur Yeh Dushman e Islam Ki Pahchan Hai, Meri Preshani Door Kre Maula,

(Yeh Woh bimari thi jisme se liquid bhi Nikalta tha)

"imam Sajjad a.s Ne Ek Baar Kaha Ki Konsi Bimari Aur Konsi Safedi)

Itna Khna tha Ki Hababa Ne Dekha Ki Safedi Gayb Ho Gyi,

"Subhan'Allah Mere Maula"

Imam Sajjad (a.s) Ne Budhape Ko Jawani Mei'n Badla Aur Beemari Ko Sehat Mei'n Badla,

Kaha Dekh Lo Yeh Kiski Pahchan Hoti Hai,

Jannat Mei'n Koi Bimar Nhi Jata Hai Aur Janant Me Koi Bhuda Nhi Jayega,
Mtlb Jo Bimar Hai Usko Sehat Ke Sath Jannat Me Dakhil Kiya Jayega Aur Jo Bhuda Hai Use Jwan Krke Jannat Mei'n Dakhil Kiya Jayega,

Jo Budape Ko Jawani Mei'n Badalta Hai Aur Bimari Ko Sehat Mei'n Badalta Hai "Woh Shere Khuda Ka Pota Zainul Abideen (a.s) Hai'n.
____

Jise Bimar Kaha Karte Hain Duniya Wale,

Usi Sajjad (as) Ne Ulta Hai Yazeedi Takhta.



-Article by: Aley Imran

No comments:

Post a Comment