Sunday, January 6, 2019

#ZABAN (By:Aley Imran)

#ZABAN

Yu'n Tu Zaban Dekhne Mein Bahut Chhoti Si Nazar Aati Hai Lekin Iski Ahmiyat Bahut Hai..

Is Unwan Ka Aghaz Surah Imran Ki Ayat Se Krta Hoon Jo Zaban Se Related Hai..

Surah Ale Imran Mein Allah Paigambar Se Farma Raha Hai Ki,

Paighambar" Yeh Allah Ki Mehrbani Hai Ke Tum Un Logo'n Ke Liye Narm Ho Wrna Agr Tum Bad'Mijaz Aur Sakht Dil Hote Tu Yeh Tumhare Paas Se Bhag Khade Hote Lihaza Ab Inhe Ma'af Kr Do.
(Surah Ale Imran Ayat 159)


Allah Ne Insano Ko Achchi Zaban Rakhne Ka Hukm Diya Hai, Jisme Narmi Wa Khush Akhlaqi Payi Jaye..
Aur Allah Ne Bad'Mijazi Se Roka Hai,


Zaban Ek Aisi Cheez Hai Jo Dost Ko Dushman Mein Tabdeel Kr Sakti Hai Aur Dushman Ko Dost Mein..

Imam Ali (as) Farmate Hai'n

Apni Zabaan Ko Narm Kalaam Aur Salaam kehne ki Aadat Daal ke is se Tere Dost zyada aur Dushman kam ho jayenge.

Aur Ek Jgh Is Trah Farmaya
"Zaban Ka Zakhm Naizo'n Ke Zakhm Se Zyada Shadeed Hota Hai.
____

Yani Aisi Bato'n Se Parhez Krna Chahiye Jisse Kisi Ka Dil Dukhe Ya Usko Takleef Pahuche,

Zaban Ka Haq Yeh Ki Usko Achchi Bato'n Mein Istemal Kare Aur Buri Bato'n Se Mahfooz Rakhe,

Ek Insaan Mein Bahut Si Qubiya'n Payi Jaati Ho'n Agrche Uski Zaban Achchi Nhi Hai Tu Yeh Insani Fitrat Hai Ki Woh Shaks Itni Qubiya'n Hone Ke Bawajood Pasand Nhi Ata Hai, Aur Iske Bar khilaf Agrche insaan Mein Kam Qubiyan Bhi Payi Jaati Hai'n Tu Bhi Insani Fitrat Use Pasand Karti Hai...

Imam Mohd Taqi (as) Farmate Hai'n Ki' Insaan Ki Tamam Qubiyo'n Ka Markaz Zaban Hai...
____

Achchi Zuban Na Hone Pr Qubiya'n Bhi Achi Nhi Lagti Hai....

Rasul'Allah (Saww) Ki Hadees Hai Ki Main Akhlaq Ki Takmeel Ke Liye Bheja Gaya Hoo'n,

Yani Akhlaq Ko Qayem Krne Ke Liye..
Aur Akhlaq Mein Sbse Ahem Kirdar Zaban Ka Hai...

Hume Kis Trah Apni Zaban Ka Istemal karna Chahiye Iske Liye Ahlebait (Asw) Ki Zindagi Pr Nazar Kare Tu Maloom Ho Jayega..
Inke Gahr Kaneez Ki Zaban Is Meraj Pr Hai Ki Jb bole Tu Quran Ke Lahje Mein Bolti Hai'n.
Slaam Ho Bibi Fizza Pr...

Compose by : Aley imran